اے کوفے والو میں زینب ہوں
Ay kufey waalo mein zainab hoon
Mera baba saqiye kausar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon
Tum jiska kalma padhte ho may zainab uski nawasi hoon
Shezadae jannat bhai merey may zainab unki pyari hoon
Pehchano mujhe may zainab hoon
Mera nana shafiye mehshar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon
Meri madar fatema zehra hai jo jannat ki shehzadi hai
Ehkaam-e- shariat ko logon duniya mein jo lekar aae hai
Ab uski beti balwe mein be makhnaa hai be chadar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon
Shabbir ki pyari dukhtar par yun shimr-e- laeen ne zulm kiya
Kano ke gauhar bhi cheen liye galo pe tamache bhi maare
Ye kaise musalman hai jinke seeney meyn dil nahi patthar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon
May dekh rahi thi tegh tale bhuka pyaasa majaya tha
May dekh rahi ek din mein ghar mera saara ujdaa tha
Paamal hue sabke laashe na qasim hai na akbar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon
Kodon ki aziyath se merey aabid ka badan bhi zakhmi hai
Behaal sakina hai meri bhuki hai bohut aur pyaasi hai
Kehti hai ro ro kar banu godi mein merey na asghar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon
Hai baarah galo mein ek rasan dukta hai galaa ghut ta hai dum
Zulmat ki ghata-e- chaen hain dil mein hai merey shabbir ka gham
Ye kaisi musibaat aae hai gherey hue hum ko sitamgar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon
Ahmed ne jo ye noha likha dil kaamp utha gham se uska
Irfan ghame zainab mein jab rote hue is nohay ko padha
Karte hain sabhi aaho-zaari har simpt mein barpa mehshar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon