آقا بچالو اس آسی کو ڈوبا ہوا ہے گناہوں میں
Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bachalo is aasi ko jo duba huva hai gunaho me
ab aap hi ise bachana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
mai qatakaar hoo mai gunahgaar hoo mai siyakar hoo
mujh bad ko aap hi bachana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
tum malik-o-muqtaar ho jise chahe jo chahe use ataa karde
meri bhi jholi bhardena ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
mere bad aamal ke sabab mujh par azab ho jab qabr me
mujhe tum bachane aana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
sunta hoo logon se ke aqa ghar tashrif laye qaab me
mere qaab me bhi tum aana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
tere dar ki haazri ke liye kab se hoo shaha betab
mujhe dar pe tum bulana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
ghamo ke samandar me dubta ja raha hai mera safina
ho jai nazre karam kinare lag jai mera safina ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
kuch amal nahi is aasi ke paas sar ta pa gunaho me duba huva hai
mahshar me tum hi bharam rakhna ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
hoga jab khuda jalal me puche jab mujh se mera amal
mujhe mahshar me tum bachana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
nikle meri rooh tere hi dayar me sabz gumbad ke saye me
is waqt mujhe apna didar bhi karana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
gar hind me israiel(alahi salam) meri rooh lene aaye
kahdena tahro ise aajane do madina ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
hogaye hai dur mujh se mere dost-o-ahbab
mujh se tum na dur ho jana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
hubbe duniya se bachakar mujhe apni kambli me chupalena
bas mai banjau tera hi diwana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
JABER jo aap ke dar ki hazri ke liye tadap raha hai
ise jald taiba me bulana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)